Posts

Showing posts from 2019

اب کسی سے مرا حساب نہیں, By Jaun Elia

اب کسی سے مرا حساب نہیں  میری آنکھوں میں کوئی خواب نہیں   خون کے گھونٹ پی رہا ہوں میں   یہ مرا خون ہے شراب نہیں   میں شرابی ہوں میری آس نہ چھین   تو مری آس ہے سراب نہیں   نوچ پھینکے لبوں سے میں نے سوال   طاقت شوخئ جواب نہیں   اب تو پنجاب بھی نہیں پنجاب   اور خود جیسا اب دو آب نہیں   غم ابد کا نہیں ہے آن کا ہے   اور اس کا کوئی حساب نہیں   بودش اک رو ہے ایک رو یعنی   اس کی فطرت میں انقلاب نہیں  

Main dasht phiraa...yaa khaab aangan aaraam kia, By Ali Zaryoun

Main dasht phiraa...yaa khaab aangan aaraam kia yeh daikh k tera zikkr hi subh o shaam kia.. So dekhaa aur is jhott ka bhi anjaam kia.. JO murr kar dekhta hay pathar ho jata hay??? darvaish ne saaya maanga tha,deewaar nahi Jab izzn hua us naam ko ahraam kia.. is shehr ki loogon nay to bapa kuhraam kiaa.. ek naam muyassar tha so badan par aourh lia yeh khaab khazana Ali nay Tere Naam kia.. Tera naam..chamakte Das harfon wala tera naam

sukūt-e-shām kā hissa tū mat banā mujh ko, By Ali Zaryoun

sukūt-e-shām kā hissa tū mat banā mujh ko maiñ rañg huuñ so kisī mauj meñ milā mujh ko maiñ in dinoñ tirī āñkhoñ ke iḳhtiyār meñ huuñ jamāl-e-sabz kisī tajrabe meñ lā mujh ko maiñ būḌhe jism kī zillat uThā nahīñ saktā kisī qadīm tajallī se kar nayā mujh ko maiñ apne hone kī takmīl chāhtā huuñ sakhī so ab badan kī hirāsat se kar rihā mujh ko mujhe charāġh kī hairat bhī ho chukī ma.alūm ab is se aage koī rāsta batā mujh ko us ism-e-ḳhās kī tarkīb se banā huuñ maiñ mohabbatoñ ke talaffuz se kar nayā mujh ko darūn-e-sīna jise dil samajh rahā thā 'alī' vo niilī aag hai ye ab patā chalā mujh ko

ik hijrat kī āvāzoñ kā, By Ali Zaryoun

ik hijrat kī āvāzoñ kā koī bain sune darvāzoñ kā zakariyyā peḌoñ kī mat sun ye jañgal hai ḳhamyāzoñ kā tire sar meñ soz nahīñ pyāre! to ahl nahīñ mire sāzoñ kā auroñ ko salāheñ detā hai koī Dasā huā andāzoñ kaa! mirā naḳhra karnā bantā hai maiñ ġhāzī huuñ tire ġhāzoñ kaa! ik reḌhī vaalā munkir hai tirī topoñ aur jahāzoñ kā