Posts

Showing posts from November, 2018

Kesa dill or is kay kya Gham gee, by Jaun Eliya

Kesa dill or is kay kya Gham gee, yunhi baten bnaty hain hum gee Kya Bhala Aasteen or Daman, Kab se Palken bhi ab nahin Numm gee Uss se ab or baat kya krna, Khud se bhi baat kijiye kam kam gee Dill jo Dill kya tha aik mehfil tha, ab hai Darham gee or Barham gee Baat bay tor ho gai shyd, Zakham bhi ab nahin hain marham gee Haar Duniya se maan lain shyd, Dill hmary main ab nahin Dumm gee Aap se dill ki baat kese kahun, aap hee tau hain Dill kay Mehram gee Hai yeh hasrat kay Zibah ho jayun, Hai Shikan iss shikam ki Zaalim gee Kese Aakhir naa rang khelen hum, Dill lahu ho rha hai janam gee hai hraba haseena apna, roz majlis hai or matam gee Waqat dum bhar ka khel hai is main, baish az baish hai kam az kam gee hai azal se abad talak ka Hisaab, aur bs aik pal hai Paihum gee bay shikan ho gai hain wo zulfain, is gali main nahin rhy khum gee Dashat-e-Dil ka ghazaal hee naa rha, ab bhala kiss se kijiye Rammm gee