Kesa dill or is kay kya Gham gee, by Jaun Eliya
Kesa dill or is kay kya Gham gee,
yunhi baten bnaty hain hum gee
Kya Bhala Aasteen or Daman,
Kab se Palken bhi ab nahin Numm gee
Uss se ab or baat kya krna,
Khud se bhi baat kijiye kam kam gee
Dill jo Dill kya tha aik mehfil tha,
ab hai Darham gee or Barham gee
Baat bay tor ho gai shyd,
Zakham bhi ab nahin hain marham gee
Haar Duniya se maan lain shyd,
Dill hmary main ab nahin Dumm gee
Aap se dill ki baat kese kahun,
aap hee tau hain Dill kay Mehram gee
Hai yeh hasrat kay Zibah ho jayun,
Hai Shikan iss shikam ki Zaalim gee
Kese Aakhir naa rang khelen hum,
Dill lahu ho rha hai janam gee
hai hraba haseena apna,
roz majlis hai or matam gee
Waqat dum bhar ka khel hai is main,
baish az baish hai kam az kam gee
hai azal se abad talak ka Hisaab,
aur bs aik pal hai Paihum gee
bay shikan ho gai hain wo zulfain,
is gali main nahin rhy khum gee
Dashat-e-Dil ka ghazaal hee naa rha,
ab bhala kiss se kijiye Rammm gee
(Jaun Eliya)
Comments
Post a Comment