Umar Guzaar Dijiye, Umar Guzaar Di Gae... By Jaun Elia
Halat-E-Haal Kay Sabab, Halat-E-Haal Hee Gae
Shauq Main Kuch Nahi Gaya, Shauq Kee Zindagi Gae
Tere Wisaal Kay Liye, Apne Kamaal Kay Liye
Halat Dil Ki Thi Kharaab, Aur Kharaab Kee Gae
Aik Hee Hadsa Tau Hai, Aur Wo Yeh Kay Aaj Takk
Baat Nahee Kahee Gae, Baat Nahee Sunee Gae
Baad Bhee Tere Jaan-E-Jaan, Dill Main Raha Ajab Samaan
Yaad Rahee Teri Yahan, Fir Teri Yaad Bhee Gae
Sehan-E-Khayaal-E-Yaar Main, Kee Na Basar Shab-E-Firaaq
Jab Se Woh Chandna Gaya, Jabse Woh Chandni Gae
Nasha-E-Shouq-E-Rang Main, Tujh Se Judaee Ki Gae
Aik Lakeer Khoon Ki, Beech Main Kheench Dee Gae
Thi Jo Kabhi Sar-E-Sukhan, Meri Woh Khamoshi Bhee Gae
Haayee Kaha Suna Ki Baat, Haayee Woh Baat Bhee Gae
Shouq Ki Aik Umar Main, Kese Badal Sake Ga Dill
Nabaz-E-Junoon Hee Tau Thii, Shehar Main Doobati Gae
Uski Galii Se Uth Kar, Main Aan Para Tha Apne Ghar
Aik Galii Ki Baat Thee, Aur Galii Galii Galii Gae
Unki Umeed-E-Naaz Ka, Hum Se Yeh Maan Thaa Kay Aap,
Umar Guzaar Dijiye, Umar Guzaar Di Gae
Daur Ba Daur, Dill Ba Dill, Dard Ba Dard, Dum Ba Dum
Tere Yahan Riayat-E-Haal Nahee Rakhi Gae
#Jaun Junoob-E-Zard Kay, Khaak Basar Yeh Dukh Uthaa
Mauj-E-Shimaal-E-Sabz-E-Jaan, Aaie Thi Aur Chalee Gae
Kya Woh Gumaan Nahee Raha? Haan Woh Gumaan Nahee Raha
Kya Woh Umeed Bhee Gae? Haan Woh Umeed Bhee Gae
Baat K0e Umeed Ki, Mujh Se Kahee Nahee Gae
So Mere Khuwaab Bhee Gaye, So Meri Neend Bhee Gae
Tum Nay Bohat Sharaab Pee, Iska Sabhee Ko Dukh Hai Jaun
Aur Jo Dukh Hai Woh Yeh Hai Kay, Tumko Sharaab Pee Gae
Jaan Tere Firaaq Main, Shaam Se Shab Jo Ki Gae...
Kho0b Sharaab Pee Gae, Aur Kharaab Pee Gae
Shikwaah Jo Hai Tau Iska Hai, Shikwaah Nahee Kiya Gya
Ranj Jo Hai Tau Iska Hai, Baat Faqat Sahee Gae
Jiska Surood-E-Roshni, Mehfil-E-Shab Feroz Tha
for more jaun elia poetry visit this Link
Comments
Post a Comment