Ek Hunar Hai Jo Kar Gaya Hun Main, Full Ghazal By Jaun Elia
Ek Hunar Hai Jo Kar Gaya Hun Main,
Sabke Dill Se Utar Gaya Hun Main.
Kaisy Apni Hansii Ko Zabttt Karun,
Sun Raha Hun Kay Ghirr Gaya Hun Main.
Kya Batayun Kay Marr Nahin Pata,
Jeet-e-Jee Jab Se Marr Gaya Hun Main.
Ab Hai Bs Apna Saamna Dar-Paish,
Har Kisi Se Guzar Gaya Hun Main.
Wohiii Naaz-O-Adaa Wohii Ghamze,
Sar-ba-Sar Aaap Per Gaya Hun Main.
Ajabb Ilzaam Hun Zamaane Ka,
Kay Yaha Sabke Sar Gaya Hun MAin.
Kabhii Khud Takk Pohanch Nahii Payaa,
Jabb Kay Wahaan Umarr Bharrr Gaya Hun Main.
Tum Se Janaa'n Milaa Hun Jiss Dinn Se,
Be-Tarhaa Khudse Darr Gaya Hun Main.
Koo-e-Janaa'n Main Sogg Barpaa Hai,
Kay Achanakk Sudharr Gaya Hun MAin.
Comments
Post a Comment