Posts

Showing posts from February, 2023

Haq kay SEENAY sy, Ubalta huva KHOON zinda hai

 Haq kay SEENAY sy, Ubalta huva KHOON zinda hai Par ye Duniya-e-Jigar-Khorr, Barri HINDA hai ZAKHAM per ZAKHAM sahey, Phir bhee DHARAKTA jaye DIL-e-DARWESH, Tu kis DAISH ka Baashinda hai. 

Dar hai chaba naa jayen by Jaun Elia

Image
 Darr hai Chabba naa jayen, Kaleja nikaal kr Rehte hain tere Shehar main, HINDA mizaaj log

Ay Mohabbat Tery Anjaam Py Rona Aaya By Shakeel Badayuni

Ay   Mohabbat Tery Anjaam Py Rona Ayaa jaane kyun aaj tery naam py ronaa aaya yuun to harr shaam umeedon mein guzar jaati hai aaj kuch baat hai jo shaam py ronaa aaya kabhi taqdeer ka mataam kabhi duniya ka gilla manzil-e-ishq mein har gham py rona aaya mujh pe hi ḳhatm hua silsila-e-nauhagari is qadar gardish-e-ayyaam py ronaa aaya jab hua zikar zamany mein muhabbat ka 'shakil' mujh ko apny dil-e-nakaam py rona aaya

Ranjish Hi Sahii Dil Hi dDkhany Ke Liye aa

  ranjish hi sahi dil hi dukhany ke liye aa aa phir se mujhe chod ke jaany ke liye aa kuch to mery pindar-e-mohabbat ka bharam rakh tu bhe to kabhi mujh ko manany ke liye aa pahle se marasim na sahi phir bhi kabhi to rasm-o-rah-e-duniya hi nibhany ke liye aa kis kis ko btayengy judai ka sababb ham tu mujh se ḳhafa hai to zamany ke liye aa ik umer se hun lazzat-e-girya se bhe mahrum ay rahat-e-jaan mujh ko rulany ke liye aa ab tak dil-e-ḳhush-faham ko tujh se hain ummidain ye aḳhiri shamain bhi bujhany ke liye aa