Suna Hai Loog Usy Aankh Bhar Ke Dekhte Hain By Ahmad Faraz

 sunahai loog use aankh bhar ke dekhte hain

so us ke shehar mein kuch din Thehar ke dekhte hain

sunaa hai rabt hai us ko ḳharāb-hāloñ se

so apne aap ko barbād kar ke dekhte haiñ

sunā hai dard gāhak hai chashm-e-nāz us

so ham bhī us galī se guzar ke dekhte haiñ

sunā hai us ko bhī hai sher o shā.irī se shaġhaf

so ham bhī mo.ajize apne hunar ke dekhte haiñ

sunā hai bole to bātoñ se phuul jhaḌte haiñ

ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte haiñ

sunā hai raat use chāñd taktā rahtā hai

sitāre bām-e-falak se utar ke dekhte haiñ

sunā hai din ko use titliyāñ satātī haiñ

sunā hai raat ko jugnū Thahar ke dekhte haiñ

sunā hai hashr haiñ us ġhazāl āñkheñ

sunā hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte haiñ

sunā hai raat se baḌh kar haiñ kākuleñ us

sunā hai shaam ko saa.e guzar ke dekhte haiñ

sunā hai us siyah-chashmagī qayāmat hai

so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte haiñ

sunā hai us ke laboñ se gulāb jalte haiñ

so ham bahār pe ilzām dhar ke dekhte haiñ

sunā hai aa.ina timsāl hai jabīñ us

jo saada dil haiñ use ban-sañvar ke dekhte haiñ

sunā hai jab se hamā.il haiñ us gardan meñ

mizāj aur laal o guhar ke dekhte haiñ

sunā hai chashm-e-tasawar se dasht-e-imkāñ meñ

palañg zāviye us kamar ke dekhte haiñ

sunā hai us ke badan tarāsh aisī hai

ki phuul apnī qabā.eñ katar ke dekhte haiñ

vo sarv-qad hai magar be-gul-e-murād nahīñ

ki us shajar pe shagūfe samar ke dekhte haiñ

bas ik nigāh se luTtā hai qāfila dil

so rah-ravān-e-tamannā bhī Dar ke dekhte haiñ

sunā hai us ke shabistāñ se muttasil hai bahisht

makīñ udhar ke bhī jalve idhar ke dekhte haiñ

ruke to gardisheñ us tavāf kartī haiñ

chale to us ko zamāne Thahar ke dekhte haiñ

kise nasīb ki be-pairahan use dekhe

kabhī kabhī dar o dīvār ghar ke dekhte haiñ

kahāniyāñ sahī sab mubālġhe sahī

agar vo ḳhvāb hai tābīr kar ke dekhte haiñ

ab us ke shahr meñ Thahreñ ki kuuch kar jaayen

'farāz' aao sitāre safar ke dekhte haiñ

Comments

Popular posts from this blog

Gham-e-Aashiqi tera Shukriya

Umar Guzaar Dijiye, Umar Guzaar Di Gae... By Jaun Elia