Ranjish Hi Sahii Dil Hi dDkhany Ke Liye aa
ranjish hi sahi dil hi dukhany ke liye aa
aa phir se mujhe chod ke jaany ke liye aa
kuch to mery pindar-e-mohabbat ka bharam rakh
tu bhe to kabhi mujh ko manany ke liye aa
pahle se marasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-o-rah-e-duniya hi nibhany ke liye aa
kis kis ko btayengy judai ka sababb ham
tumujh se ḳhafa hai to zamany ke liye aa
ik umer se hun lazzat-e-girya se bhe mahrum
ayrahat-e-jaan mujh ko rulany ke liye aa
ab tak dil-e-ḳhush-faham ko tujh se hain ummidain
ye aḳhiri shamain bhi bujhany ke liye aa
Comments
Post a Comment