Posts

Showing posts from March, 2017

Woh Jo Mera Waaqif-E-Haal Tha... Zahid Fakhri

Usay Apne Fardaa ki Fikar thi, Wo jo mera waqif-E-Haal tha, Woh jo Uski Subh-E-Urooj Thi, Wohi Mera Waqat-E-Zawal Tha, Mera Dard wo Kese Janta, Meri Baat kese woh Manta, Woh tau khud fanaa kay Safar Py tha, Usay Rokna bhi Muhaal tha, Kahan Jao Gy Mujhay Chorr kar, Main Yeh Puch puch kay thak gya, Woh Jawab mujh ko naa dy saka, Woh tau khud Sarapa Sawal Tha, Woh jo Us kay Saamne hai aa gya, Wohi Roshni main Naha Gya, Ajab Uski Haibt-E-Hussan thi, Ajab Uska Rang-E-Jamal Tha, Woh mila tau Sadiyon kay baad bhi, Mere Lub pay Koe Gila Na Tha, Usay Meri Chup nay Rulaa diya, Jisy Guftagu Main Kamal Tha, Mere Saath Lag kay woh Roo Diya, Mujhay Fakhri Itna Hee woh Keh Saka, Jissy janta tha main Zindagi, Woh tau sirf Wehm-O-Khayal Tha,

Baad Muddat Usy Dekha, Logo, Parveen Shakir

Image
Baad Muddat Usy Dekha, Logo!! Woh Zra Bhi Nahi Badla, Logo!! (Parveen Shakir)   

Yeh Jo Deewane Sy Do Chaar Nazar Aate Hain, - Saghar Siddiqui

Image
Yeh Jo Deewane Sy Do Chaar Nazar Aate Hain, In Main Kuch Sahib-E-Asraar Nazar Aate Hain, Teri Mehfil Ka Bharam Rakhte Hain So Jate Hain, Warna Yeh Log Tau Bedaar Nazar Aate Hain. Door Tak Koe Sitara Hai Na Koe Jugnu, Marg-E-Umeed Kay Asraar Nazar Aate Hain, Mere Daman Main Shararon Kay Siwa Kuch Bhi Nahi, Aap Pholon Kay Kharidaar Nazar Aate Hain, Kal Jise Chu Nahi Sakti Thi Farishton Ki Nazar, Aaj Wo Ronaq-E-Bazaar Nazar Aate Hain, Hashar Main Kon Gawahi Meri Dy Ga Saghar, Sab Tumhare Hee Tarafdaar Nazar Aate Hain, Yeh Jo Deewane Sy Do Chaar Nazar Aate Hain, In Main Kuch Sahib-E-Asraar Nazar Aate Hain,

Mujhay Ab Dar Nahi Lagta. - Mohsin Naqvi Ghazal

Image
Mujhay Ab Dar Nahi Lagta   Kisi kay Door jany Sy, Taaluq Toot jany Sy, Kisi kay Maan Jany Sy, Kisi Kay Rooth Jany Sy, Mujhay Ab Dar Nahi Lagta. Kisi Ko Aazmany Sy, Kisi Kay Aazmany Sy, Kisi Ko Yaad Rakhne Sy, Kisi Ko Bhool Jane Sy, Mujhay Ab Dar Nahi Lagta.  Kisi Ko Chorr Dene Sy, Kisi Kay Chorr Jane Sy. Shammaa Ko Jalane Sy, Shammaa Ko Bujhane Sy, Mujhay Ab Dar Nahi Lagta. Akele Muskuraane Sy, Kabhi Aansu Bahane Sy, Na Is Saary Zamaane Sy, Haqeeqat Sy, Fasane Sy, Mujhay Ab Dar Nahi Lagta. Kisi Ki Naarsaayi Sy, Kisi Ki Paarsaayi Sy, Kisi Ki Bewafai Sy, Kisi Dukh Intahaai Sy, Mujhay Ab Dar Nahi Lagta.   Naa Tau Is Paar Rehne Sy, Naa Tau Us Paar Rehne Sy, Naa Apni Zindagani Sy, Naa Ik Din Maut Aane Sy, Mujhay Ab Dar Nahi Lagta Mujhay Ab Dar Nahi Lagta...

woh hai Mojood is Qadar Mujh main!!

اُٹھتی رھتی ھے ایک گرد مُجھ میں، کون پھرتا ھے در بدر مُجھ میں، مُجھ کو مُجھ میں جگہ نھیں ملتی،   وہ ھے موجود اس قدر مُجھ میں...

Tumhin ko Hum Ny Chaha Tha,, Tumhii Miltay tau Achaa Thaa.

Jahan Pholon ko Khilna tha... Wahin Khilty tau achaa tha... Tumhi ko hum ny Chaha Tha,  Tumhi Milty tau Achaa tha.. Koe aa kar Hum sy Puchay,  Tumhain Kese Bhulaya hai.. Tumhary Khatt ko Ansuon sy,  Shab-E-Gham main Jalaya hai... Hazaron Zakham Aise Thy,  Agar Siltay tau Achaa thaa, Tumhin ko Hum Ny Chaha Tha,, Tumhii Miltay tau Achaa Thaa. Tumhain Jitna Bhulaya hai, Tumhari Yaad Aaii hai, Bahar-E-Nau jo aaii hai, Wohi Khushbu he Laaee Hai Tumhary Lab Meri Khatir Hiltay tau Achaa tha, Tumhin ko Hum Ny Chaha Tha,, Tumhii Miltay tau Achaa Thaa. Mila hai Lutf Humko Bhi, Haseen Yadon Ki Jhilmil Main, Katti hai Zindagi Tum Bin, Magar itni See hai Dill Main, Agar aaty tau Achaa Tha, Agar Miltay Tau Achaa Thaa, Tumhin ko Hum Ny Chaha Tha,, Tumhii Miltay tau Achaa Thaa.

Had-E-Jana Se Guzar Howa To, Mohabbaton Ka Pata Chaly Ga, By Jaun Elia

Had-E-Jana Se Guzar Huwa To, Mohabbaton Ka Pata Chaly Ga, Koi Muhabbat Ki Nazar Huwa To, Muhabbaton Ka Pata Chaly Ga,   Abhi To Phirte Ho Doston Mein, Aziz Koi Juda Nahi Hai, Koi Jo Idhar Se Udhar Huwa To, Muhabbaton Ka Pata Chaly Ga,   Ye Khush Naseebi Hai Kay Shehr Bhar Mein, Tumhara Dushman Nahi Hai Koi, Kabhi Kisi Ka Jo Dar Huwa To, Muhabbaton Ka Pata Chaly Ga,   Ye Fasla Jo Abhi Talak, Ham Dono K Hai Darmian, Ye Fasla Jo Mukhtasar Huwa To, Mohabbaton Ka Pata Chaly Ga,   Abhi Muhabbat Nahi Hui Na, Kuch Isi Liye Muskara Rahy Ho, Kisi K Bahon Mein Ghar Huwa To, Muhabbaton Ka Pata Chaly Ga,   Muhabbaton Mein Pathron Ko, Mom Hoty Suna Hai Lekin, Tumhary Dil Pe Asar Howa To, Mohabbaton Ka Pata Chale Ga,   Wo Jis Ki Khatir Bana Rahy Ho, Zamany Bhar Ko Tum Apna Dushman, Wo Hi Na Apna Agar Huwa To, Mohabbaton Ka Pata Chaly Ga,   Badal Badal Kay Wo Apne Chehre, Mayar Apna Bana Rahy Hain, Koi Na Had-E-Nazar Huwa To,