Woh Jo Mera Waaqif-E-Haal Tha... Zahid Fakhri
Usay Apne Fardaa ki Fikar thi,
Wo jo mera waqif-E-Haal tha,
Woh jo Uski Subh-E-Urooj Thi,
Wohi Mera Waqat-E-Zawal Tha,
Wo jo mera waqif-E-Haal tha,
Woh jo Uski Subh-E-Urooj Thi,
Wohi Mera Waqat-E-Zawal Tha,
Mera Dard wo Kese Janta,
Meri Baat kese woh Manta,
Woh tau khud fanaa kay Safar Py tha,
Usay Rokna bhi Muhaal tha,
Kahan Jao Gy Mujhay Chorr kar,
Main Yeh Puch puch kay thak gya,
Woh Jawab mujh ko naa dy saka,
Woh tau khud Sarapa Sawal Tha,
Woh jo Us kay Saamne hai aa gya,
Wohi Roshni main Naha Gya,
Ajab Uski Haibt-E-Hussan thi,
Ajab Uska Rang-E-Jamal Tha,
Woh mila tau Sadiyon kay baad bhi,
Mere Lub pay Koe Gila Na Tha,
Usay Meri Chup nay Rulaa diya,
Jisy Guftagu Main Kamal Tha,
Mere Saath Lag kay woh Roo Diya,
Mujhay Fakhri Itna Hee woh Keh Saka,
Jissy janta tha main Zindagi,
Woh tau sirf Wehm-O-Khayal Tha,
Comments
Post a Comment