Mujhay Ab Dar Nahi Lagta. - Mohsin Naqvi Ghazal

Mujhay Ab Dar Nahi Lagta
 
Kisi kay Door jany Sy,
Taaluq Toot jany Sy,
Kisi kay Maan Jany Sy,
Kisi Kay Rooth Jany Sy,
Mujhay Ab Dar Nahi Lagta.

Kisi Ko Aazmany Sy,
Kisi Kay Aazmany Sy,
Kisi Ko Yaad Rakhne Sy,
Kisi Ko Bhool Jane Sy,
Mujhay Ab Dar Nahi Lagta.

 Kisi Ko Chorr Dene Sy,
Kisi Kay Chorr Jane Sy.
Shammaa Ko Jalane Sy,
Shammaa Ko Bujhane Sy,
Mujhay Ab Dar Nahi Lagta.

Akele Muskuraane Sy,
Kabhi Aansu Bahane Sy,
Na Is Saary Zamaane Sy,
Haqeeqat Sy, Fasane Sy,
Mujhay Ab Dar Nahi Lagta.

Kisi Ki Naarsaayi Sy,
Kisi Ki Paarsaayi Sy,
Kisi Ki Bewafai Sy,
Kisi Dukh Intahaai Sy,
Mujhay Ab Dar Nahi Lagta.
 
Naa Tau Is Paar Rehne Sy,
Naa Tau Us Paar Rehne Sy,
Naa Apni Zindagani Sy,
Naa Ik Din Maut Aane Sy,
Mujhay Ab Dar Nahi Lagta
Mujhay Ab Dar Nahi Lagta...

Comments

Popular posts from this blog

Gham-e-Aashiqi tera Shukriya

Umar Guzaar Dijiye, Umar Guzaar Di Gae... By Jaun Elia