Had-E-Jana Se Guzar Howa To, Mohabbaton Ka Pata Chaly Ga, By Jaun Elia

Had-E-Jana Se Guzar Huwa To,

Mohabbaton Ka Pata Chaly Ga,

Koi Muhabbat Ki Nazar Huwa To,

Muhabbaton Ka Pata Chaly Ga,

 

Abhi To Phirte Ho Doston Mein,

Aziz Koi Juda Nahi Hai,

Koi Jo Idhar Se Udhar Huwa To,

Muhabbaton Ka Pata Chaly Ga,

 

Ye Khush Naseebi Hai Kay Shehr Bhar Mein,

Tumhara Dushman Nahi Hai Koi,

Kabhi Kisi Ka Jo Dar Huwa To,

Muhabbaton Ka Pata Chaly Ga,

 

Ye Fasla Jo Abhi Talak,

Ham Dono K Hai Darmian,

Ye Fasla Jo Mukhtasar Huwa To,

Mohabbaton Ka Pata Chaly Ga,

 

Abhi Muhabbat Nahi Hui Na,

Kuch Isi Liye Muskara Rahy Ho,

Kisi K Bahon Mein Ghar Huwa To,

Muhabbaton Ka Pata Chaly Ga,

 

Muhabbaton Mein Pathron Ko,

Mom Hoty Suna Hai Lekin,

Tumhary Dil Pe Asar Howa To,

Mohabbaton Ka Pata Chale Ga,

 

Wo Jis Ki Khatir Bana Rahy Ho,

Zamany Bhar Ko Tum Apna Dushman,

Wo Hi Na Apna Agar Huwa To,

Mohabbaton Ka Pata Chaly Ga,

 

Badal Badal Kay Wo Apne Chehre,

Mayar Apna Bana Rahy Hain,

Koi Na Had-E-Nazar Huwa To,

Mohabbaton Ka Pata Chaly Ga,

 

Ye Kia Bicharna Kay Sham Hoty Hi,

Apne Pyaron Main Lot Aana,

Kabhi Jo Lamba Safar Huwa To,

Mohabbaton Ka Pata Chaly Ga...!!!

Comments

Popular posts from this blog

Gham-e-Aashiqi tera Shukriya

Umar Guzaar Dijiye, Umar Guzaar Di Gae... By Jaun Elia