Posts

Showing posts from 2017

عمر گزرے گی امتحان میں کیا, جون ایلیا

Image
عمر گزرے گی امتحان میں کیا داغ ہی دیں گے مجھ کو دان میں کیا   میری ہر بات بے اثر ہی رہی   نقص ہے کچھ مرے بیان میں کیا   مجھ کو تو کوئی ٹوکتا بھی نہیں   یہی ہوتا ہے خاندان میں کیا   اپنی محرومیاں چھپاتے ہیں   ہم غریبوں کی آن بان میں کیا   خود کو جانا جدا زمانے سے   آ گیا تھا مرے گمان میں کیا   شام ہی سے دکان دید ہے بند   نہیں نقصان تک دکان میں کیا   اے مرے صبح و شام دل کی شفق   تو نہاتی ہے اب بھی بان میں کیا   بولتے کیوں نہیں مرے حق میں   آبلے پڑ گئے زبان میں کیا   خامشی کہہ رہی ہے کان میں کیا   آ رہا ہے مرے گمان میں کیا   دل کہ آتے ہیں جس کو دھیان بہت   خود بھی آتا ہے اپنے دھیان میں کیا   وہ ملے تو یہ پوچھنا ہے مجھے   اب بھی ہوں میں تری امان میں کیا   یوں جو تکتا ہے آسمان کو تو   کوئی رہتا ہے آسمان میں کیا   ہے نسیم بہار گرد آلود   خاک اڑتی ہے اس مکان میں کیا   یہ مجھے چین کیوں نہیں پڑتا     ایک ہی شخص تھا جہان میں کیا

Khud hee Sudhar Jaon Tau Behtar Hai, Urdu Sad Ghazal, Love Ghazal.

Image
Wafa-E-Ishq Hun Main, Ab Bikhar jaon Tau Behtar Hai, Jidhar Jatay Hain Yeh Badal, Udhar Jaon Tau Behtar Hai Yeh Dil Kehta Hai Tere Shehar Main, Kuch Din Thehar Jaon, Magar Halaat Kehty Hain Kay, Ghar Jaon Tau Behtar Hai, Dillo'n Main Faraq Aayen Ge, Ta'aluq Toot Jayen Ge, Jo Dekha, Jo Suna, Us Se, Mukar Jaon Tau Behtar Hai, Yahan Hai Kon Mera, Jo Mujhay Samjhay Gaa, Main Koshish Kar Kay Ab, Khud hee Sudhar Jaon Tau Behtar Hai.

Hum Sy Doori Achi Hai, Par Itni Doori Theek Nahi. Sad Ghazal

Image
So Qissay Hain Milte Julte, Ek Majboori Theek Nahi. Jo Kehna hai Khul kay Keh Do, Baat Adhori Theek Nahi. Roz Muhabat Ho Jati Hai, Chalte Phirte Logon Sy, Geet Adhoore, Khuwaab Adhoore, Yeh Mazdoori Theek Nahi. Ek Shikast Ke Badle Mujh Ko Sab Ilzaam Na Do, Kuch Kuch Teri Baat Hai Suchi, Lekin Poori Theek Nahi. Hum Mehfil Main Aye, Youn Woh Peeche Jaa Kar Beth Gaye, Hum Sy Doori Achi Hai, Par Itni Doori Theek Nahi.

Umar Guzaar Dijiye, Umar Guzaar Di Gae... By Jaun Elia

Image
Halat-E-Haal Kay Sabab, Halat-E-Haal Hee Gae Shauq Main Kuch Nahi Gaya, Shauq Kee Zindagi Gae Tere Wisaal Kay Liye, Apne Kamaal Kay Liye Halat Dil Ki Thi Kharaab, Aur Kharaab Kee Gae Aik Hee Hadsa Tau Hai, Aur Wo Yeh Kay Aaj Takk Baat Nahee Kahee Gae, Baat Nahee Sunee Gae Baad Bhee Tere Jaan-E-Jaan, Dill Main Raha Ajab Samaan Yaad Rahee Teri Yahan, Fir Teri Yaad Bhee Gae Sehan-E-Khayaal-E-Yaar Main, Kee Na Basar Shab-E-Firaaq Jab Se Woh Chandna Gaya, Jabse Woh Chandni Gae Nasha-E-Shouq-E-Rang Main, Tujh Se Judaee Ki Gae Aik Lakeer Khoon Ki, Beech Main Kheench Dee Gae Thi Jo Kabhi Sar-E-Sukhan, Meri Woh Khamoshi Bhee Gae Haayee Kaha Suna Ki Baat, Haayee Woh Baat Bhee Gae Shouq Ki Aik Umar Main, Kese Badal Sake Ga Dill Nabaz-E-Junoon Hee Tau Thii, Shehar Main Doobati Gae Uski Galii Se Uth Kar, Main Aan Para Tha Apne Ghar Aik Galii Ki Baat Thee, Aur Galii Galii Galii Gae Unki Umeed-E-Naaz Ka, Hum Se Yeh Maan Thaa Kay Aap, Umar Guzaa

Ghum Hai Ya Khushi Hai Tu..!!

Ghum Hai Ya Khushi Hai Tu..!! Meri Zindagi Hai Tu..!!! Aafton kay Dour Main... Chain Ki Gharri Hai Tu..!!

Muhabat Chorr Di Hum Nay..-- Urdu Sad Ghazal..

Image
Yeh Tumsay Keh Diya Kis Nay, Kay Tum Bin Hum Reh Nae Sakty, Yeh Dukh Hum Seh Nae Sakty, Chalo Hum Maan Lete Hain, Kay Bin Tere Hum Bohat Roye, Kai Ratain Nahi Soye, Magar Afsos Hai Jana, Kay Ab, Jab Tum Lout Kay Aao Gay, Humain Tabdeel Payo Gay, Bohat Mayoos Ho gy Tum. Agar Jo Puchna Chaho, Kay Aisa Kyun Kiya Hum Nay, Tau Sun Lo Gour Say Janam..! Puraani Ek Riwayat, Tang Aa Kar Torr Di Humny, Hum Say Ab Nahi Hoti, Muhabat Chorr Di Hum Nay...

Woh Jo Mera Waaqif-E-Haal Tha... Zahid Fakhri

Usay Apne Fardaa ki Fikar thi, Wo jo mera waqif-E-Haal tha, Woh jo Uski Subh-E-Urooj Thi, Wohi Mera Waqat-E-Zawal Tha, Mera Dard wo Kese Janta, Meri Baat kese woh Manta, Woh tau khud fanaa kay Safar Py tha, Usay Rokna bhi Muhaal tha, Kahan Jao Gy Mujhay Chorr kar, Main Yeh Puch puch kay thak gya, Woh Jawab mujh ko naa dy saka, Woh tau khud Sarapa Sawal Tha, Woh jo Us kay Saamne hai aa gya, Wohi Roshni main Naha Gya, Ajab Uski Haibt-E-Hussan thi, Ajab Uska Rang-E-Jamal Tha, Woh mila tau Sadiyon kay baad bhi, Mere Lub pay Koe Gila Na Tha, Usay Meri Chup nay Rulaa diya, Jisy Guftagu Main Kamal Tha, Mere Saath Lag kay woh Roo Diya, Mujhay Fakhri Itna Hee woh Keh Saka, Jissy janta tha main Zindagi, Woh tau sirf Wehm-O-Khayal Tha,

Baad Muddat Usy Dekha, Logo, Parveen Shakir

Image
Baad Muddat Usy Dekha, Logo!! Woh Zra Bhi Nahi Badla, Logo!! (Parveen Shakir)   

Yeh Jo Deewane Sy Do Chaar Nazar Aate Hain, - Saghar Siddiqui

Image
Yeh Jo Deewane Sy Do Chaar Nazar Aate Hain, In Main Kuch Sahib-E-Asraar Nazar Aate Hain, Teri Mehfil Ka Bharam Rakhte Hain So Jate Hain, Warna Yeh Log Tau Bedaar Nazar Aate Hain. Door Tak Koe Sitara Hai Na Koe Jugnu, Marg-E-Umeed Kay Asraar Nazar Aate Hain, Mere Daman Main Shararon Kay Siwa Kuch Bhi Nahi, Aap Pholon Kay Kharidaar Nazar Aate Hain, Kal Jise Chu Nahi Sakti Thi Farishton Ki Nazar, Aaj Wo Ronaq-E-Bazaar Nazar Aate Hain, Hashar Main Kon Gawahi Meri Dy Ga Saghar, Sab Tumhare Hee Tarafdaar Nazar Aate Hain, Yeh Jo Deewane Sy Do Chaar Nazar Aate Hain, In Main Kuch Sahib-E-Asraar Nazar Aate Hain,

Mujhay Ab Dar Nahi Lagta. - Mohsin Naqvi Ghazal

Image
Mujhay Ab Dar Nahi Lagta   Kisi kay Door jany Sy, Taaluq Toot jany Sy, Kisi kay Maan Jany Sy, Kisi Kay Rooth Jany Sy, Mujhay Ab Dar Nahi Lagta. Kisi Ko Aazmany Sy, Kisi Kay Aazmany Sy, Kisi Ko Yaad Rakhne Sy, Kisi Ko Bhool Jane Sy, Mujhay Ab Dar Nahi Lagta.  Kisi Ko Chorr Dene Sy, Kisi Kay Chorr Jane Sy. Shammaa Ko Jalane Sy, Shammaa Ko Bujhane Sy, Mujhay Ab Dar Nahi Lagta. Akele Muskuraane Sy, Kabhi Aansu Bahane Sy, Na Is Saary Zamaane Sy, Haqeeqat Sy, Fasane Sy, Mujhay Ab Dar Nahi Lagta. Kisi Ki Naarsaayi Sy, Kisi Ki Paarsaayi Sy, Kisi Ki Bewafai Sy, Kisi Dukh Intahaai Sy, Mujhay Ab Dar Nahi Lagta.   Naa Tau Is Paar Rehne Sy, Naa Tau Us Paar Rehne Sy, Naa Apni Zindagani Sy, Naa Ik Din Maut Aane Sy, Mujhay Ab Dar Nahi Lagta Mujhay Ab Dar Nahi Lagta...

woh hai Mojood is Qadar Mujh main!!

اُٹھتی رھتی ھے ایک گرد مُجھ میں، کون پھرتا ھے در بدر مُجھ میں، مُجھ کو مُجھ میں جگہ نھیں ملتی،   وہ ھے موجود اس قدر مُجھ میں...

Tumhin ko Hum Ny Chaha Tha,, Tumhii Miltay tau Achaa Thaa.

Jahan Pholon ko Khilna tha... Wahin Khilty tau achaa tha... Tumhi ko hum ny Chaha Tha,  Tumhi Milty tau Achaa tha.. Koe aa kar Hum sy Puchay,  Tumhain Kese Bhulaya hai.. Tumhary Khatt ko Ansuon sy,  Shab-E-Gham main Jalaya hai... Hazaron Zakham Aise Thy,  Agar Siltay tau Achaa thaa, Tumhin ko Hum Ny Chaha Tha,, Tumhii Miltay tau Achaa Thaa. Tumhain Jitna Bhulaya hai, Tumhari Yaad Aaii hai, Bahar-E-Nau jo aaii hai, Wohi Khushbu he Laaee Hai Tumhary Lab Meri Khatir Hiltay tau Achaa tha, Tumhin ko Hum Ny Chaha Tha,, Tumhii Miltay tau Achaa Thaa. Mila hai Lutf Humko Bhi, Haseen Yadon Ki Jhilmil Main, Katti hai Zindagi Tum Bin, Magar itni See hai Dill Main, Agar aaty tau Achaa Tha, Agar Miltay Tau Achaa Thaa, Tumhin ko Hum Ny Chaha Tha,, Tumhii Miltay tau Achaa Thaa.

Had-E-Jana Se Guzar Howa To, Mohabbaton Ka Pata Chaly Ga, By Jaun Elia

Had-E-Jana Se Guzar Huwa To, Mohabbaton Ka Pata Chaly Ga, Koi Muhabbat Ki Nazar Huwa To, Muhabbaton Ka Pata Chaly Ga,   Abhi To Phirte Ho Doston Mein, Aziz Koi Juda Nahi Hai, Koi Jo Idhar Se Udhar Huwa To, Muhabbaton Ka Pata Chaly Ga,   Ye Khush Naseebi Hai Kay Shehr Bhar Mein, Tumhara Dushman Nahi Hai Koi, Kabhi Kisi Ka Jo Dar Huwa To, Muhabbaton Ka Pata Chaly Ga,   Ye Fasla Jo Abhi Talak, Ham Dono K Hai Darmian, Ye Fasla Jo Mukhtasar Huwa To, Mohabbaton Ka Pata Chaly Ga,   Abhi Muhabbat Nahi Hui Na, Kuch Isi Liye Muskara Rahy Ho, Kisi K Bahon Mein Ghar Huwa To, Muhabbaton Ka Pata Chaly Ga,   Muhabbaton Mein Pathron Ko, Mom Hoty Suna Hai Lekin, Tumhary Dil Pe Asar Howa To, Mohabbaton Ka Pata Chale Ga,   Wo Jis Ki Khatir Bana Rahy Ho, Zamany Bhar Ko Tum Apna Dushman, Wo Hi Na Apna Agar Huwa To, Mohabbaton Ka Pata Chaly Ga,   Badal Badal Kay Wo Apne Chehre, Mayar Apna Bana Rahy Hain, Koi Na Had-E-Nazar Huwa To,

Tah-e-Khaaq Tamasha

Image

Friendship Born

Image